Shayari
karoge yaad to har baat yaad aaegi
guzarte vaqt ki har mauj Thahar jaaegi
de nishaani koi aisi ki sadaa yaad rahe
zakhm ki baat hai kyaa zakhm to bhar jaaeinge
دے نشانی کوئی ایسی کہ سدا یاد رہے
زخم کی بات ہے کیا زخم تو بھر جائیں گے
दे निशानी कोई ऐसी कि सदा याद रहे
ज़ख़्म की बात है क्या ज़ख़्म तो भर जाएँगे

karoge yaad to har baat yaad aaegi
guzarte vaqt ki har mauj Thahar jaaegi
ye ehtimaam-e-charaaghaan bajaa sahi lekin
sahar to ho nahin sakti diye jalaane se
pyaar ke bandhan khuun ke rishte TuuT gae khvaabon ki tarah
jaagti aankhein dekh rahi thiin kyaa kyaa kaarobaar hue
kahte kahte kuchh badal detaa hai kyuun baaton kaa rukh
kyuun khud apne-aap ke bhi saath vo sachchaa nahin
jaane kin rishton ne mujh ko baandh rakkhaa hai ki main
muddaton se aandhiyon ki zad mein huun bikhraa nahin
koi yaadon se joD le ham ko
ham bhi ik TuTtaa saa rishta hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
itnaa masruf kar liyaa khud ko
gham bhi aa kar khushi se lauT gae
tumhaari khush-nasibi hai ki tum samjhe nahin ab tak
akele-pan mein aur tanhaai mein jo farq hotaa hai
had-e-nigaah dekhiye banne ko gham-gusaar
us ko bhi chup karaaiye jo ro nahin rahaa