Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
main boltaa huun to ilzaam hai baghaavat kaa
main chup rahun to baDi bebasi si hoti hai
میں بولتا ہوں تو الزام ہے بغاوت کا
میں چپ رہوں تو بڑی بے بسی سی ہوتی ہے
मैं बोलता हूँ तो इल्ज़ाम है बग़ावत का
मैं चुप रहूँ तो बड़ी बेबसी सी होती है

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kuchh to majburiyaan rahi hongi
yuun koi bevafaa nahin hotaa
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
saliqa bolne kaa ho to bolo
nahin to chup bhali hai lab na kholo
miri fitrat mein bachpan hi se zid hai is liye ab bhi
charaaghon ko havaa ke saamne maddham nahin kartaa
main khushbuon ke zikr pe khaamosh hi rahaa
haalaanki ek phuul mire haafize mein thaa
shajar ke qatl mein is kaa bhi haath hai shaayad
bataa rahaa hai ye baad-e-sabaa kaa chup rahnaa