Shayari
ishq kaa ejaaz sajdon mein nihaan rakhtaa huun main
naqsh-e-paa hoti hai peshaani jahaan rakhtaa huun main
go muddatein hui hain kisi se judaa hue
lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahin
گو مدتیں ہوئی ہیں کسی سے جدا ہوئے
لیکن یہ دل کی آگ ابھی تک بجھی نہیں
गो मुद्दतें हुई हैं किसी से जुदा हुए
लेकिन ये दिल की आग अभी तक बुझी नहीं

ishq kaa ejaaz sajdon mein nihaan rakhtaa huun main
naqsh-e-paa hoti hai peshaani jahaan rakhtaa huun main
ham bhi khud ko tabaah kar lete
tum idhar bhi nigaah kar lete
ai jazba-e-dil gar main chaahun har chiiz muqaabil aa jaae
manzil ke liye do gaam chalun aur saamne manzil aa jaae
ai dekhne vaalo mujhe hans hans ke na dekho
tum ko bhi mohabbat kahin mujh saa na banaa de
'bahzaad' saaf saaf main kahtaa huun haal-e-dil
sharminda-e-kamaal miri shaairi nahin
zinda huun is tarah ki gham-e-zindagi nahin
jaltaa huaa diyaa huun magar raushni nahin
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
sar agar sar hai to nezon se shikaayat kaisi
dil agar dil hai to dariyaa se baDaa honaa hai
hamaare dil ko ik aazaar hai aisaa nahin lagtaa
ki ham daftar bhi jaate hain ghazal-khvaani bhi karte hain
jaan ham kaar-e-mohabbat kaa sila chaahte the
dil-e-saada koi mazdur hai ujrat kaisi