Shayari
go muddatein hui hain kisi se judaa hue
lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahin
zinda huun is tarah ki gham-e-zindagi nahin
jaltaa huaa diyaa huun magar raushni nahin
زندہ ہوں اس طرح کہ غم زندگی نہیں
جلتا ہوا دیا ہوں مگر روشنی نہیں
ज़िंदा हूँ इस तरह कि ग़म-ए-ज़िंदगी नहीं
जलता हुआ दिया हूँ मगर रौशनी नहीं

go muddatein hui hain kisi se judaa hue
lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahin
ishq kaa ejaaz sajdon mein nihaan rakhtaa huun main
naqsh-e-paa hoti hai peshaani jahaan rakhtaa huun main
ham bhi khud ko tabaah kar lete
tum idhar bhi nigaah kar lete
ai jazba-e-dil gar main chaahun har chiiz muqaabil aa jaae
manzil ke liye do gaam chalun aur saamne manzil aa jaae
ai dekhne vaalo mujhe hans hans ke na dekho
tum ko bhi mohabbat kahin mujh saa na banaa de
'bahzaad' saaf saaf main kahtaa huun haal-e-dil
sharminda-e-kamaal miri shaairi nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
yaaro hudud-e-gham se guzarne lagaa huun main
mujh ko sameT lo ki bikharne lagaa huun main
gham se naazuk zabt-e-gham ki baat hai
ye bhi dariyaa hai magar Thahraa huaa