Shayari
ye chaar din ke tamaashe hain aah duniyaa ke
rahaa jahaan mein sikandar na aur na jam baaqi
mar gae ham par na aae tum khabar ko ai sanam
hausla ab dil kaa dil hi mein miri jaan rah gayaa
مر گئے ہم پر نہ آئے تم خبر کو اے صنم
حوصلہ اب دل کا دل ہی میں مری جاں رہ گیا
मर गए हम पर न आए तुम ख़बर को ऐ सनम
हौसला अब दिल का दिल ही में मिरी जाँ रह गया

ye chaar din ke tamaashe hain aah duniyaa ke
rahaa jahaan mein sikandar na aur na jam baaqi
ai 'rasaa' jaisaa hai bargashta zamaana ham se
aisaa bargashta kisi kaa na muqaddar hogaa
na bosa lene dete hain na lagte hain gale mere
abhi kam-umr hain har baat par mujh se jhijakte hain
baat karne mein jo lab us ke hue zer-o-zabar
ek saaat mein tah-o-baalaa zamaana ho gayaa
ye kah do bas maut se ho rukhsat kyuun naahaq aai hai us ki shaamat
ki dar talak vo masih-khaslat miri ayaadat ko aa chuke hain
abhi to aae ho jaldi kahaan hai jaane ki
uTho na pahlu se Thahro zaraa kidhar ko chale
tirgi mein aadmi ko hausla dete hue
har sitaare ko farishta maan lenaa chaahiye
dasht-e-junun ki khaak uDaane vaalon ki himmat dekho
TuuT chuke hain andar se lekin man-maani baaqi hai
bhaarat ke ai saputo himmat dikhaae jaao
duniyaa ke dil pe apnaa sikka biThaae jaao
mat baiTh aashiyaan mein paron ko sameT kar
kar hausla kushaada fazaa mein uDaan kaa
ye kah ke dil ne mire hausle baDhaae hain
ghamon ki dhuup ke aage khushi ke saae hain
tohmat si liye phirte hain sadiyon se sar apne
rusvaa hai bahut naam yahaan ahl-e-hunar kaa