Shayari
jaane is vaqt kahaan phone paDaa ho us kaa
jaane is vaqt vo kis shakhs ki aaghosh mein ho
tirgi mein aadmi ko hausla dete hue
har sitaare ko farishta maan lenaa chaahiye
تیرگی میں آدمی کو حوصلہ دیتے ہوئے
ہر ستارے کو فرشتہ مان لینا چاہیے
तीरगी में आदमी को हौसला देते हुए
हर सितारे को फ़रिश्ता मान लेना चाहिए

jaane is vaqt kahaan phone paDaa ho us kaa
jaane is vaqt vo kis shakhs ki aaghosh mein ho
sipah-gari kaa hunar bhi sukhan-vari bhi ho
main chaahtaa huun ki lashkar bhi ho pari bhi ho
ek bosa udhaar hai tum par
aur chaae bhi tez patti ki
khudaa ko khat likhungaa khud-kushi kaa
likhungaa main resign kar rahaa huun
safar nigal gae ham ko vagarna ham ne bhi
kahin pahunch ke kisi ko gale lagaanaa thaa
lams-e-husn-e-'ajib ki khvaahish
sar uThaati thi maar di main ne
thaa e'timaad-e-husn se tu is qadar tahi
aaina dekhne kaa tujhe hausla na thaa
ki ik nazar ki tuur saraapaa jalaa diyaa
kis hausle pe koi tiri aarzu kare
harf saare bol uTThein jab bhi main likhne lagun
ab koi jazba miraa mahv-e-duaa lagtaa nahin
ye soch kar tiri mahfil se ham chale aae
ki ek baar to baDh jaae hausla dil kaa
zaraa dariyaa ki tah tak to pahunch jaane ki himmat kar
to phir ai Dubne vaale kinaaraa hi kinaaraa hai
abhi kuchh aur ham ko tohmaton ke zahr piine hain
abhi kuchh aur tum ko bad-gumaani hone vaali hai