Shayari
zamin nai thi anaasir ki khu badalti thi
havaa se pahle jazire pe dhuup chalti thi
ajiib Dhang se taqsim-e-kaar ki us ne
so jis ko dil na diyaa us ko dilrubaai di
عجیب ڈھنگ سے تقسیم کار کی اس نے
سو جس کو دل نہ دیا اس کو دل ربائی دی
अजीब ढंग से तक़सीम-ए-कार की उस ने
सो जिस को दिल न दिया उस को दिलरुबाई दी

zamin nai thi anaasir ki khu badalti thi
havaa se pahle jazire pe dhuup chalti thi
ajiib qaid thi jis mein bahut khushi thi mujhe
ab ashk thamte nahin hain ye kyaa rihaa huaa main
hamaari khaak tabarruk samajh ke le jaao
hamaari jaan mohabbat ki lau mein jalti thi
sunaa hai main ne aziyyat maza bhi deti hai
sunaa hai dil ki khalish mein sakun bhi hotaa hai
ek kaanTe ki khaTak se dil miraa aabaad thaa
vo gayaa to dil se mere dard ki raahat gai
ek haalat thi miri aur ek haalat dil ki thi
meri haalat to vahi hai dil ki vo haalat gai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye dil hai dil ise siine mein hargiz
kabhi rakhnaa na tum patthar banaa ke
miraa ghar jalaane vaale mujhe fikr hai tiri bhi
ki havaa kaa rukh jo badlaa tiraa ghar bhi jal na jaae
mataa-e-dard maaal-e-hayaat hai shaayad
dil-e-shikasta miri kaaenaat hai shaayad