Shayari
zamin nai thi anaasir ki khu badalti thi
havaa se pahle jazire pe dhuup chalti thi
hamaari khaak tabarruk samajh ke le jaao
hamaari jaan mohabbat ki lau mein jalti thi
ہماری خاک تبرک سمجھ کے لے جاؤ
ہماری جان محبت کی لو میں جلتی تھی
हमारी ख़ाक तबर्रुक समझ के ले जाओ
हमारी जान मोहब्बत की लौ में जलती थी

zamin nai thi anaasir ki khu badalti thi
havaa se pahle jazire pe dhuup chalti thi
ajiib qaid thi jis mein bahut khushi thi mujhe
ab ashk thamte nahin hain ye kyaa rihaa huaa main
sunaa hai main ne aziyyat maza bhi deti hai
sunaa hai dil ki khalish mein sakun bhi hotaa hai
ek kaanTe ki khaTak se dil miraa aabaad thaa
vo gayaa to dil se mere dard ki raahat gai
ajiib Dhang se taqsim-e-kaar ki us ne
so jis ko dil na diyaa us ko dilrubaai di
ek haalat thi miri aur ek haalat dil ki thi
meri haalat to vahi hai dil ki vo haalat gai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai