Shayari
kiyaa hai faash parda kufr-o-din kaa is qadar main ne
ki dushman hai barhaman aur adu shaikh-e-haram meraa
agar dard-e-mohabbat se na insaan aashnaa hotaa
na kuchh marne kaa gham hotaa na jiine kaa mazaa hotaa
اگر درد محبت سے نہ انساں آشنا ہوتا
نہ کچھ مرنے کا غم ہوتا نہ جینے کا مزا ہوتا
अगर दर्द-ए-मोहब्बत से न इंसाँ आश्ना होता
न कुछ मरने का ग़म होता न जीने का मज़ा होता

kiyaa hai faash parda kufr-o-din kaa is qadar main ne
ki dushman hai barhaman aur adu shaikh-e-haram meraa
vatan ki khaak se mar kar bhi ham ko uns baaqi hai
mazaa daamaan-e-maadar kaa hai is miTTi ke daaman mein
zindagi kyaa hai anaasir mein zuhur-e-tartib
maut kyaa hai inhin ajzaa kaa pareshaan honaa
adab taalim kaa jauhar hai zevar hai javaani kaa
vahi shaagird hain jo khidmat-e-ustaad karte hain
ik silsila havas kaa hai insaan ki zindagi
is ek musht-e-khaak ko gham do-jahaan ke hain
hai miraa zabt-e-junun josh-e-junun se baDh kar
nang hai mere liye chaak-e-garebaan honaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
zikr se rindon ke vaaiz tu abhi vaaqif nahin
ye to hu-haq ki sadaa hai shor-e-rindaana nahin
aks-e-zulf-e-ravaan nahin jaataa
dil se gham kaa dhuaan nahin jaataa
is shor-e-talaatum mein koi kis ko pukaare
kaanon mein yahaan apni sadaa tak nahin aati