Shayari
is kaa kyaa hogaa ye jo unvaan aadhaa rah gayaa
ye bhi lete jaaein jo saamaan aadhaa rah gayaa
vahaan jo log anaaDi hain vaqt kaaTte hain
yahaan bhi kuchh mutashaaer dimaagh chaaTte hain
وہاں جو لوگ اناڑی ہیں وقت کاٹتے ہیں
یہاں بھی کچھ متشاعر دماغ چاٹتے ہیں
वहाँ जो लोग अनाड़ी हैं वक़्त काटते हैं
यहाँ भी कुछ मुतशायर दिमाग़ चाटते हैं

is kaa kyaa hogaa ye jo unvaan aadhaa rah gayaa
ye bhi lete jaaein jo saamaan aadhaa rah gayaa
main bhi thaa haazir bazm mein jab tu ne dekhaa hi nahin
main bhi uThaa kar chal diyaa bilkul nayaa juutaa tiraa
pakDi gai radif to fauran ye kah diyaa
likhnaa kabhi thaa aur main yahaan likh gayaa abhi
ek achchhaa-khaasaa mard zanaane mein ghus paDaa
goyaa ki ek chor khazaane mein ghus paDaa
ek shaadi to Thiik hai lekin
ek do tiin chaar had kar di
kyaa bataaun mein tumhein is shahr kaa jughraafiya
bambai hai ik ghazal gaD-baD hai jis kaa qaafiya
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae
jab talak shisha rahaa main baar-haa toDaa gayaa
ban gayaa patthar to sab ne devtaa maanaa mujhe
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai