Shayari
zalzale kaa thaa safar jis mein ki masti ham ne
khushk chaTTaanon pe dauDaa di hai kashti ham ne
khaak-e-dil se hi uThe ab ke ghubaar-e-mahtaab
aasmaan se koi elaan nahin honaa hai
خاک دل سے ہی اٹھے اب کے غبار مہتاب
آسماں سے کوئی اعلان نہیں ہونا ہے
ख़ाक-ए-दिल से ही उठे अब के ग़ुबार-ए-महताब
आसमाँ से कोई एलान नहीं होना है

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
aah to ab bhi dil se uThti hai
lekin us mein asar nahin hotaa
hai dil mein karun zikr-e-khudaa but ko biThaa kar
sajda ho kisi kaa to ibaadat ho kisi ki
haal-e-dil us ko sunaa kar hai bahut khush 'kausar'
lekin ab soch zaraa kyaa tiri auqaat rahi
kuchh naqsh tiri yaad ke baaqi hain abhi tak
dil be-sar-o-saamaan sahi viraan to nahin hai