Shayari
tu mard-e-momin hai apni manzil ko aasmaanon pe dekh naadaan
ki raah-e-zulmat mein saath degaa koi charaagh-e-alil kab tak
shuur-e-nau-umr huun na mujh ko mataa-e-ranj-o-malaal denaa
ki mujh ko aataa nahin ghamon ko khushi ke saanchon main Dhaal denaa
شعور نو عمر ہوں نہ مجھ کو متاع رنج و ملال دینا
کہ مجھ کو آتا نہیں غموں کو خوشی کے سانچوں میں ڈھال دینا
शुऊर-ए-नौ-उम्र हूँ न मुझ को मता-ए-रंज-ओ-मलाल देना
कि मुझ को आता नहीं ग़मों को ख़ुशी के साँचों मैं ढाल देना

tu mard-e-momin hai apni manzil ko aasmaanon pe dekh naadaan
ki raah-e-zulmat mein saath degaa koi charaagh-e-alil kab tak
main ik mazdur huun roTi ki khaatir bojh uThaataa huun
miri qismat hai baar-e-hukmaraani pusht par rakhnaa
ye duniyaa hai yahaan asli kahaani pusht par rakhnaa
labon par pyaas rakhnaa aur paani pusht par rakhnaa
tire badan ki nazaakaton kaa huaa hai jab ham-rikaab mausam
nazar nazar mein khilaa gayaa hai sharaaraton ke gulaab mausam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
jab bhi ye dil udaas hotaa hai
jaane kaun aas-paas hotaa hai
aansu miri aankhon se nikal jaate hain aksar
vo daur-e-mohabbat kabhi bhulaa to nahin huun
kufr-o-islaam ne maqsad ko pahunchne na diyaa
kaaba-o-dair ko sang-e-rah-e-manzil samjhaa