Shayari
yahaan to roz nai aafaton se paalaa hai
'husain' kitne ab aaeinge karbalaa ke liye
rah-e-hayaat mein laakhon the ham-safar 'ejaaz'
kisi ko yaad rakhaa aur kisi ko bhuul gae
رہ حیات میں لاکھوں تھے ہم سفر اعجازؔ
کسی کو یاد رکھا اور کسی کو بھول گئے
रह-ए-हयात में लाखों थे हम-सफ़र 'एजाज़'
किसी को याद रखा और किसी को भूल गए

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne