Shayari
tamaam shahr se main jang jiit saktaa huun
magar main tum se bichhaDte hi haar jaaungaa
zindagi di hisaab se us ne
aur gham be-hisaab likkhaa hai
زندگی دی حساب سے اس نے
اور غم بے حساب لکھا ہے
ज़िंदगी दी हिसाब से उस ने
और ग़म बे-हिसाब लिक्खा है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
chali samt-e-ghaib siin kyaa havaa ki chaman zuhur kaa jal gayaa
magar ek shaakh-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi
dard-e-dil kitnaa pasand aayaa use
main ne jab ki aah us ne vaah ki
mere kamre mein udaasi hai qayaamat ki magar
ek tasvir puraani si hansaa karti hai