Shayari
sahar hote hi koi ho gayaa rukhsat gale mil kar
fasaane raat ke kahti rahi TuuTi hui chuDi
muqayyad ho na jaanaa zaat ke gumbad mein yaaro
kisi rauzan kisi darvaaza ko vaa chhoD denaa
مقید ہو نہ جانا ذات کے گنبد میں یارو
کسی روزن کسی دروازہ کو وا چھوڑ دینا
मुक़य्यद हो न जाना ज़ात के गुम्बद में यारो
किसी रौज़न किसी दरवाज़ा को वा छोड़ देना

khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
vo jo ik tolaa kai maasha thi yaari tum se
ratti bhar bhi na rahaa is mein kuchh aasaar kahin
nae yaaron se bhi is shakhs ki saahib-salaamat hai
hamaare saath bhi yaari jo pahle thi so ab bhi hai