Shayari
gul kuun ai shokh mukh tanik dikhlaa
ki khizaan kar dikhaa de us kuun bahaar
F
Faez Dehlvivahi qadr 'faaez' ki jaane bahut
jise ishq kaa zakhm kaari lage
وہی قدر فائزؔ کی جانے بہت
جسے عشق کا زخم کاری لگے
वही क़द्र 'फ़ाएज़' की जाने बहुत
जिसे इश्क़ का ज़ख़्म कारी लगे
gul kuun ai shokh mukh tanik dikhlaa
ki khizaan kar dikhaa de us kuun bahaar
jo kahiye us ke haq mein kam hai be-shak
pari hai huur hai ruh-ul-amin hai
tujh badan par jo laal saari hai
aql us ne miri bisaari hai
tujh ko hai ham se judaai aarzu
mere dil mein shauq hai didaar kaa
mujh ko auron se kuchh nahin hai kaam
tujh se har dam umid-vaari hai
abr kaa saaya o sabza raah kaa
jaan-e-man rath ki savaari yaad hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
rahm kar ham par bhi dil-bar hain tire
ishq ke haathon se aavaaron ke biich
ishq bhi kyaa chiiz hai sahal bhi dushvaar hai
un ko idhar dekhnaa mujh ko udhar dekhnaa
khud rahm kijiye dil-e-ummid-vaar par
aaphi nikaaliye koi surat nibaah ki
kis zamaane ki ye dushman thi miri
is mohabbat kaa ho munh kaalaa miyaan