Shayari
us ne jab se haath pakaDnaa chhoD diyaa
tab se ham ne saath mein chalnaa chhoD diyaa
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
عشق میں انتہا کی حد نہ ہوئی
عاشقی تیری مستند نہ ہوئی
'इश्क़ में इंतिहा की हद न हुई
'आशिक़ी तेरी मुस्तनद न हुई

us ne jab se haath pakaDnaa chhoD diyaa
tab se ham ne saath mein chalnaa chhoD diyaa
tum jo chaaho vo karte phirte ho
saari paabandiyaan hami par hain
teraa aaina kah rahe hain mujhe
meri tasvir dekhne vaale
ab zindagi se koi bhi shikva nahin mujhe
tu mil gayaa to koi tamanna nahin mujhe
dil kaa mire parinda tumhaare qafas mein thaa
jab tak tumhaaraa haath miri dastaras mein thaa
ai chaaraagar ye kaisi hain davaaein
miri taklif baDhti jaa rahi hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat mar gai 'mushtaaq' lekin tum na maanoge
main ye afvaah bhi tum ko sunaa kar dekh letaa huun
ab shughl hai yahi dil-e-izaa-pasand kaa
jo zakhm bhar gayaa hai nishaan us kaa dekhnaa
ab to hai ishq-e-butaan mein zindagaani kaa maza
jab khudaa kaa saamnaa hogaa to dekhaa jaaegaa
mere havaas ishq mein kyaa kam hain muntashir
majnun kaa naam ho gayaa qismat ki baat hai