Shayari
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
meri khaamoshiyon mein larzaan hai
mere naalon ki gum-shuda aavaaz
میری خاموشیوں میں لرزاں ہے
میرے نالوں کی گم شدہ آواز
merī ḳhāmoshiyoñ meñ larzāñ hai
mere nāloñ kī gum-shuda āvāz

Faiz Ahmad Faiz was a Pakistani poet associated with the Progressive Writers Movement.
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
har sadaa par lage hain kaan yahaan
dil sambhaale raho zabaan ki tarah
ai zulm ke maato lab kholo chup rahne vaalo chup kab tak
kuchh hashr to un se uTThegaa kuchh duur to naale jaaeinge
chaman pe ghaarat-e-gul-chin se jaane kyaa guzri
qafas se aaj sabaa be-qaraar guzri hai
karo kaj jabin pe sar-e-kafan mire qaatilon ko gumaan na ho
ki ghurur-e-ishq kaa baankpan pas-e-marg ham ne bhulaa diyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
un se kah do mujhe khaamosh hi rahne de 'vasim'
lab pe aaegi to har baat giraan guzregi
tum raah mein chup-chaap khaDe ho to gae ho
kis kis ko bataaoge ki ghar kyuun nahin jaate
milti hai khushi sab ko jaise hi kahin se bhi
bhuli hui bachpan ki tasvir nikalti hai
vo shaant baiThaa hai kab se main shor kyon na karun
bas ek baar vo kah de ki chup to chuun na karun
aise chhute hain tasavvur mein tujhe ham chup-chaap
jaise phulon ko chhuaa karti hai shabnam chup-chaap