Shayari
kisi ke ek ishaare mein kis ko kyaa na milaa
bashar ko ziist mili maut ko bahaana milaa
dair mein yaa haram mein guzregi
umr tere hi gham mein guzregi
دیر میں یا حرم میں گزرے گی
عمر تیرے ہی غم میں گزرے گی
दैर में या हरम में गुज़रेगी
उम्र तेरे ही ग़म में गुज़रेगी

kisi ke ek ishaare mein kis ko kyaa na milaa
bashar ko ziist mili maut ko bahaana milaa
apni jannat mujhe dikhlaa na sakaa tu vaaiz
kucha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri
ham hain us ke khayaal ki tasvir
jis ki tasvir hai khayaal apnaa
rone ke bhi aadaab huaa karte hain 'faani'
ye us ki gali hai teraa gham-khaana nahin hai
mujh tak us mahfil mein phir jaam-e-sharaab aane ko hai
umr-e-rafta palTi aati hai shabaab aane ko hai
na ibtidaa ki khabar hai na intihaa maalum
rahaa ye vahm ki ham hain so vo bhi kyaa maalum
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
is hi buniyaad par kyuun na mil jaaein ham
aap tanhaa bahut ham akele bahut
tanhaai ki ye kaun si manzil hai rafiqo
taa-hadd-e-nazar ek bayaabaan saa kyuun hai
shab ki tanhaaiyon mein yaad us ki
jhilmilaataa huaa diyaa jaise