Shayari
na ibtidaa ki khabar hai na intihaa maalum
rahaa ye vahm ki ham hain so vo bhi kyaa maalum
roz-e-jazaa gila to kyaa shukr-e-sitam hi ban paDaa
haae ki dil ke dard ne dard ko dil banaa diyaa
روز جزا گلہ تو کیا شکر ستم ہی بن پڑا
ہائے کہ دل کے درد نے درد کو دل بنا دیا
रोज़-ए-जज़ा गिला तो क्या शुक्र-ए-सितम ही बन पड़ा
हाए कि दिल के दर्द ने दर्द को दिल बना दिया

na ibtidaa ki khabar hai na intihaa maalum
rahaa ye vahm ki ham hain so vo bhi kyaa maalum
apni jannat mujhe dikhlaa na sakaa tu vaaiz
kucha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri
ham hain us ke khayaal ki tasvir
jis ki tasvir hai khayaal apnaa
rone ke bhi aadaab huaa karte hain 'faani'
ye us ki gali hai teraa gham-khaana nahin hai
mujh tak us mahfil mein phir jaam-e-sharaab aane ko hai
umr-e-rafta palTi aati hai shabaab aane ko hai
yaa-rab tiri rahmat se maayus nahin 'faani'
lekin tiri rahmat ki taakhir ko kyaa kahiye
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
naaz kar naaz tire naaz pe hai naaz mujhe
meri tanhaai hai partav tiri yaktaai kaa
hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage