Shayari
taqsim phir hui hai viraasat kuchh is tarah
ik maan zamin pe dekhiye phir dar-ba-dar hui
kitni faraakh-dil huun main 'farah'-ji pyaar mein
hairat hai us ki chaah mein kitni niDar hui
کتنی فراخ دل ہوں میں فرحؔ جی پیار میں
حیرت ہے اس کی چاہ میں کتنی نڈر ہوئی
कितनी फ़राख़-दिल हूँ मैं 'फ़रह'-जी प्यार में
हैरत है उस की चाह में कितनी निडर हुई

taqsim phir hui hai viraasat kuchh is tarah
ik maan zamin pe dekhiye phir dar-ba-dar hui
kuchh is tarah qarib vo aayaa mire liye
us ki tavajjoh pyaar mein chaahat kaa ghar hui
main kaisi raahon mein kho gai huun
sabhi qusur intikhaab mein hai
khushiyaan jo baT rahi thiin vo ham ko nahin milin
aai hamaari baari to vaapas nazar hui
puchho zaraa ye chaand se kaise sahar hui
itni tavil raat bhi kaise basar hui
vo yuun to lagtaa hai sab ke jaisaa
magar judaa kuchh janaab mein hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
kyaa kahaa ishq jaavedaani hai!
aakhiri baar mil rahi ho kyaa
dil kaun hai ki us se kahein raaz-e-ishq ham
tere khayaal se bhi na ham guftugu karein