Shayari
ye dil hai dil ise siine mein hargiz
kabhi rakhnaa na tum patthar banaa ke
F
Faraz Sultanpuri'faraaz' is tarah zindagi hai gizaari
ki goyaa koi haadsa chhoD aae
فرازؔ اس طرح زندگی ہے گزاری
کہ گویا کوئی حادثہ چھوڑ آئے
'फ़राज़' इस तरह ज़िंदगी है गुज़ारी
कि गोया कोई हादसा छोड़ आए
ye dil hai dil ise siine mein hargiz
kabhi rakhnaa na tum patthar banaa ke
dhuup ki sakhti to thi lekin 'faraaz'
zindagi mein phir bhi thaa saaya bahut
phulon ki taazgi mein udaasi hai shaam ki
saae ghamon ke itne to gahre kabhi na the
kahin aisaa na ho main duur khud apne se ho jaaun
meri hasti ke hangaamon mein kuchh tanhaaiyaan rakh do
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein