Shayari
us ke baare mein bahut sochtaa huun
mujh se bichhDaa to kidhar jaaegaa
kabhi sahar to kabhi shaam le gayaa mujh se
tumhaaraa dard kai kaam le gayaa mujh se
کبھی سحر تو کبھی شام لے گیا مجھ سے
تمہارا درد کئی کام لے گیا مجھ سے
कभी सहर तो कभी शाम ले गया मुझ से
तुम्हारा दर्द कई काम ले गया मुझ से

us ke baare mein bahut sochtaa huun
mujh se bichhDaa to kidhar jaaegaa
baarish hui to ghar ke dariche se lag ke ham
chup-chaap sogvaar tumhein sochte rahe
saans letaa huun to rotaa hai koi siine mein
dil dhaDaktaa hai to maatam ki sadaa aati hai
anaa ki jang mein ham jiit to gae lekin
phir us ke baad bahut der tak niDhaal rahe
use ziyaada zarurat thi ghar basaane ki
vo aa ke mere dar-o-baam le gayaa mujh se
main be-khayaal kabhi dhuup mein nikal aauun
to kuchh sahaab mire saath saath chalte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
duaa karo ki ye paudaa sadaa haraa hi lage
udaasiyon mein bhi chehra khilaa khilaa hi lage
main jis ki aankh kaa aansu thaa us ne qadr na ki
bikhar gayaa huun to ab ret se uThaae mujhe