Shayari
chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
use khabar thi ki ham visaal aur hijr ik saath chaahte hain
to us ne aadhaa ujaaD rakkhaa hai aur aadhaa banaa diyaa hai
اسے خبر تھی کہ ہم وصال اور ہجر اک ساتھ چاہتے ہیں
تو اس نے آدھا اجاڑ رکھا ہے اور آدھا بنا دیا ہے
उसे ख़बर थी कि हम विसाल और हिज्र इक साथ चाहते हैं
तो उस ने आधा उजाड़ रक्खा है और आधा बना दिया है

chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
ilaaj apnaa karaate phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbat kar ke dekho naa mohabbat kyuun nahin karte
main ronaa chaahtaa huun khuub ronaa chaahtaa huun main
phir us ke baad gahri niind sonaa chaahtaa huun main
vo aql-mand kabhi josh mein nahin aataa
gale to lagtaa hai aaghosh mein nahin aataa
har gali kuche mein rone ki sadaa meri hai
shahr mein jo bhi huaa hai vo khataa meri hai
koi dariyaa ki taraf jaane ko tayyaar nahin
haath sab ke hain magar koi 'alam-daar nahin
dam mohabbat kaa bharaa kartaa thaa jo dil vasl mein
ab vo shaam-e-hijr aate hi pashemaan ho gayaa
ziist ne murda banaa rakkhaa thaa mujh ko hijr mein
maut ne dikhlaa diyaa aa kar masihaai kaa rang
kyaa qayaamat hai hijr ke din bhi
zindagi mein shumaar hote hain
main sargiraan thaa hijr ki raaton ke qarz se
maayus ho ke lauT gae din visaal ke
ye log ishq mein sachche nahin hain varna hijr
na ibtidaa na kahin intihaa mein aataa hai
bahut dinon mein kahin hijr-e-maah-o-saal ke baad
rukaa huaa hai zamaana tire visaal ke baad