Shayari
pahle talaash kijiye manzil ki rahguzar
phir sochiye ki raah mein divaar kaun hai
rahguzar hai udaas meri tarah
jaane kab vo yahaan se guzregaa
رہ گزر ہے اداس میری طرح
جانے کب وہ یہاں سے گزرے گا
रहगुज़र है उदास मेरी तरह
जाने कब वो यहाँ से गुज़रेगा

pahle talaash kijiye manzil ki rahguzar
phir sochiye ki raah mein divaar kaun hai
zid par aDe hue hain ye dil bhi dimaagh bhi
ab dekhnaa hai in mein asar-daar kaun hai
phir mujhe yaad aaegaa bachpan
ik zamaana gumaan se guzregaa
zehn aur dil mein jo an-ban hai vo an-ban na rahe
is liye darmiyaan divaar banaa rakkhi hai
ek mushkil ho to aasaan banaa li jaae
us ne to zindagi dushvaar banaa rakkhi hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin