Shayari
aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
ek hi khvaab ne saari raat jagaayaa hai
main ne har karvaT sone ki koshish ki
ایک ہی خواب نے ساری رات جگایا ہے
میں نے ہر کروٹ سونے کی کوشش کی
एक ही ख़्वाब ने सारी रात जगाया है
मैं ने हर करवट सोने की कोशिश की

aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
aaina dekh kar tasalli hui
ham ko is ghar mein jaantaa hai koi
shaam se aankh mein nami si hai
aaj phir aap ki kami si hai
aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne e'tibaar kiyaa
aap ke baa'd har ghaDi ham ne
aap ke saath hi guzaari hai
kabhi to chaunk ke dekhe koi hamaari taraf
kisi ki aankh mein ham ko bhi intizaar dikhe
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
us ko sochun to dhyaan mein mere
khushbu aati hai pahli baarish ki
naqd-e-dil-e-khaalis kuun miri qalb tuun mat jaan
hai tujh kuun agar shubh to kas dekh tapaa dekh
shikva-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar thaa
apne hisse ki koi shama jalaate jaate