Shayari
aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
shaam se aankh mein nami si hai
aaj phir aap ki kami si hai
شام سے آنکھ میں نمی سی ہے
آج پھر آپ کی کمی سی ہے
शाम से आँख में नमी सी है
आज फिर आप की कमी सी है

aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
aaina dekh kar tasalli hui
ham ko is ghar mein jaantaa hai koi
aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne e'tibaar kiyaa
aap ke baa'd har ghaDi ham ne
aap ke saath hi guzaari hai
kitni lambi khaamoshi se guzraa huun
un se kitnaa kuchh kahne ki koshish ki
kabhi to chaunk ke dekhe koi hamaari taraf
kisi ki aankh mein ham ko bhi intizaar dikhe
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
jaam-ba-dast-o-mai-ba-jaam yuun hi guzaar subh-o-shaam
ziist ki talkhiyaan mudaam pi ke pilaa ke bhuul jaa
chhoD kar ham ko milaa shama-rukhon se jaa kar
isi qaabil hai tu ai dil ki jalaaein tujh ko