Shayari
dil mein bhari hai khaak mein milne ki aarzu
khaakistari huaa hai hamaari qabaa kaa rang
H
Habeeb Moosavifasl-e-gul aai uThaa abr chali sard huaa
su-e-mai-khaana akaDte hue mai-khvaar chale
فصل گل آئی اٹھا ابر چلی سرد ہوا
سوئے مے خانہ اکڑتے ہوئے مے خوار چلے
फ़स्ल-ए-गुल आई उठा अब्र चली सर्द हुआ
सू-ए-मय-ख़ाना अकड़ते हुए मय-ख़्वार चले
dil mein bhari hai khaak mein milne ki aarzu
khaakistari huaa hai hamaari qabaa kaa rang
zabaan par tiraa naam jab aa gayaa
to girte ko dekhaa sambhalte hue
taalib-e-bosa huun main qaasid vo hain khvaahaan-e-jaan
ye zaraa si baat hai milte hi tai ho jaaegi
asal saabit hai vahi shara kaa ik parda hai
daane tasbih ke sab phirte hain zunnaaron par
naaseh ye vaaz-o-pand hai bekaar jaaegaa
ham se bhi baada-kash hain kahin paarsaa hue
bahut dinon mein vo aae hain vasl ki shab hai
moazzin aaj na yaarab uThe azaan ke liye
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
mubham se ek khvaab ki taabir kaa hai shauq
nindon mein baadalon kaa safar tez abhi se hai
aasmaan par garajnaa baadalon kaa
tere lahje kaa istiaara hai
kyunkar na lutf baada-kashi kaa ho aab mein
baarish mein jo huruf hain vo hain sharaab mein