Shayari
dil mein bhari hai khaak mein milne ki aarzu
khaakistari huaa hai hamaari qabaa kaa rang
H
Habeeb Moosavitira-bakhti ki balaa se yuun nikalnaa chaahiye
jis tarah suljhaa ke zulfon ko alag shaana huaa
تیرہ بختی کی بلا سے یوں نکلنا چاہیے
جس طرح سلجھا کے زلفوں کو الگ شانہ ہوا
तीरा-बख़्ती की बला से यूँ निकलना चाहिए
जिस तरह सुलझा के ज़ुल्फ़ों को अलग शाना हुआ
dil mein bhari hai khaak mein milne ki aarzu
khaakistari huaa hai hamaari qabaa kaa rang
zabaan par tiraa naam jab aa gayaa
to girte ko dekhaa sambhalte hue
taalib-e-bosa huun main qaasid vo hain khvaahaan-e-jaan
ye zaraa si baat hai milte hi tai ho jaaegi
asal saabit hai vahi shara kaa ik parda hai
daane tasbih ke sab phirte hain zunnaaron par
naaseh ye vaaz-o-pand hai bekaar jaaegaa
ham se bhi baada-kash hain kahin paarsaa hue
bahut dinon mein vo aae hain vasl ki shab hai
moazzin aaj na yaarab uThe azaan ke liye
alag baat hai ye ki tum sun na paae
magar ham ne tum ko pukaaraa bahut hai
use maalum thaa ye shaam-e-judaai hai to bas
aakhiri baar bahut der ikaTThe baiThe
judaai bhi na hoti zindagi bhi sahl ho jaati
jo ham ik dusre se masala tabdil kar lete
meri mazduri ke paise mujhe de do maalik
aaj beTi miri sasuraal se aai hui hai
main judaai kaa muqarrar silsila ho jaaungaa
vo bhi din aaegaa jab khud se judaa ho jaaungaa
tiraa vasl hai mujhe be-khudi tiraa hijr hai mujhe aagahi
tiraa vasl mujh ko firaaq hai tiraa hijr mujh ko visaal hai