Shayari
jo mire sochne ki baatein hain
dusre sochte hain mere liye
meri mazduri ke paise mujhe de do maalik
aaj beTi miri sasuraal se aai hui hai
میری مزدوری کے پیسے مجھے دے دو مالک
آج بیٹی مری سسرال سے آئی ہوئی ہے
मेरी मज़दूरी के पैसे मुझे दे दो मालिक
आज बेटी मिरी ससुराल से आई हुई है

jo mire sochne ki baatein hain
dusre sochte hain mere liye
miyaan majnun to kab ke mar chuke hain
magar haathon mein patthar hai abhi tak
koi jaldi nahin hai soch lenaa
abhi inkaar ki gunjaaishein hain
in gharib logon ki ye 'ajib mushkil hai
sar jhukaa ke kahte hain sar nahin jhukaaeinge
raat basti jali gharibon ki
subh akhbaar ho gae raushan
qadam qadam pe mire khvaab jal rahe hain yahaan
main is zamin ko jannat banaane aayaa thaa
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe