Shayari
ye kis maqaam pe laai hai zindagi ham ko
hansi labon pe hai siine mein gham kaa daftar hai
aasaan nahin marhala-e-tark-e-vafaa bhi
muddat hui ham is ko bhulaane mein lage hain
آسان نہیں مرحلۂ ترک وفا بھی
مدت ہوئی ہم اس کو بھلانے میں لگے ہیں
आसान नहीं मरहला-ए-तर्क-ए-वफ़ा भी
मुद्दत हुई हम इस को भुलाने में लगे हैं

ye kis maqaam pe laai hai zindagi ham ko
hansi labon pe hai siine mein gham kaa daftar hai
us se baDh kar kiyaa milegaa aur inaam-e-junun
ab to vo bhi kah rahe hain apnaa divaana mujhe
sabhi ke diip sundar hain hamaare kyaa tumhaare kyaa
ujaalaa har taraf hai is kinaare us kinaare kyaa
kuchh is ke sanvar jaane ki tadbir nahin hai
duniyaa hai tiri zulf-e-girah-gir nahin hai
dushmanon ki jafaa kaa khauf nahin
doston ki vafaa se Darte hain
vo baat 'hafiz' ab nahin milti kisi shai mein
jalvon mein kami hai ki nigaahon mein kami hai
Dubo di thi jahaan tufaan ne kashti
vahaan sab the khudaa kyaa naa-khudaa kyaa
lo phir tire labon pe usi bevafaa kaa zikr
ahmad 'faraaz' tujh se kahaa na bahut huaa
bevafaa kahiye baa-vafaa kahiye
dil mein aae jo barmalaa kahiye
kahte na the ham 'dard' miyaan chhoDo ye baatein
paai na sazaa aur vafaa kijiye us se
main kis liye tujhe ilzaam-e-bevafaai duun
ki main to aap hi patthar huun apne raste kaa
ham arz-e-vafaa bhi kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake
yaan ham ne zabaan hi kholi thi vaan aankh jhuki sharmaa bhi gae