Shayari
us se baDh kar kiyaa milegaa aur inaam-e-junun
ab to vo bhi kah rahe hain apnaa divaana mujhe
ye kis maqaam pe laai hai zindagi ham ko
hansi labon pe hai siine mein gham kaa daftar hai
یہ کس مقام پہ لائی ہے زندگی ہم کو
ہنسی لبوں پہ ہے سینے میں غم کا دفتر ہے
ये किस मक़ाम पे लाई है ज़िंदगी हम को
हँसी लबों पे है सीने में ग़म का दफ़्तर है

us se baDh kar kiyaa milegaa aur inaam-e-junun
ab to vo bhi kah rahe hain apnaa divaana mujhe
sabhi ke diip sundar hain hamaare kyaa tumhaare kyaa
ujaalaa har taraf hai is kinaare us kinaare kyaa
kuchh is ke sanvar jaane ki tadbir nahin hai
duniyaa hai tiri zulf-e-girah-gir nahin hai
dushmanon ki jafaa kaa khauf nahin
doston ki vafaa se Darte hain
tadbir ke dast-e-rangin se taqdir darakhshaan hoti hai
qudrat bhi madad farmaati hai jab koshish-e-insaan hoti hai
vo baat 'hafiz' ab nahin milti kisi shai mein
jalvon mein kami hai ki nigaahon mein kami hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
aansu nikal ke aankh se palkon pe ruk gae
ghar chhoDne ke vaqt ThiThakte hain paanv bhi
tanhaai ki ye kaun si manzil hai rafiqo
taa-hadd-e-nazar ek bayaabaan saa kyuun hai
shab ki tanhaaiyon mein yaad us ki
jhilmilaataa huaa diyaa jaise