Shayari
sabhi to dost hain kyuun shak abas huaa mujh ko
kisi ke haath kaa patthar miri talaash mein hai
H
Haidar Ali Jafribhulaa na paayaa use jis ko bhuul jaanaa thaa
vafaaon se miraa rishta bahut puraanaa thaa
بھلا نہ پایا اسے جس کو بھول جانا تھا
وفاؤں سے مرا رشتہ بہت پرانا تھا
भुला न पाया उसे जिस को भूल जाना था
वफ़ाओं से मिरा रिश्ता बहुत पुराना था
sabhi to dost hain kyuun shak abas huaa mujh ko
kisi ke haath kaa patthar miri talaash mein hai
aae Thahre aur ravaana ho gae
zindagi kyaa hai, safar ki baat hai
khuun mazdur kaa miltaa jo na taamiron mein
na haveli na mahal aur na koi ghar hotaa
kis ki sadaa fazaaon mein gunji hai chaar-su
kis ne mujhe pukaaraa hai bachpan ke naam se
kyaa zaruri hai ju-e-shir ki baat
kyuun na gang-o-jaman ki baat karein
khinch detaa main zamaane pe mohabbat ke nuqush
mere qabze mein agar khaama-e-shahpar hotaa
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
mujhe bhi fursat-e-nazzaara-e-jamaal na thi
aur us ko paas kisi aur ke bhi jaanaa thaa
maanaa apni jaan ko vo bhi dil kaa rog lagaaeinge
ahl-e-junun khud kyaa samjhe hain naaseh kyaa samjhaaeinge
tere hote to bayaabaan bhi the gulshan saare
tu nahin hai to ye duniyaa hai bayaabaan jaanaan
main dariyaa huun magar bahtaa huun main kohsaar ki jaanib
mujhe duniyaa ki pasti mein utar jaanaa nahin aataa