Shayari
kyaa jaanein un ki chaal mein eajaaz hai ki sehr
vo bhi unhin se mil gae jo the hamaare log
H
Haqeerjab se kuchh qaabu hai apnaa kaakul-e-khamdaar par
saanp har dam loTtaa hai sina-e-aghyaar par
جب سے کچھ قابو ہے اپنا کاکل خم دار پر
سانپ ہر دم لوٹتا ہے سینۂ اغیار پر
जब से कुछ क़ाबू है अपना काकुल-ए-ख़मदार पर
साँप हर दम लोटता है सीना-ए-अग़्यार पर
kyaa jaanein un ki chaal mein eajaaz hai ki sehr
vo bhi unhin se mil gae jo the hamaare log
khuub mil kar gale se ro lenaa
is se dil ki safaai hoti hai
yak-ba-yak tark na karnaa thaa mohabbat mujh se
khair jis tarah se aataa thaa vo aataa jaataa
jaantaa us ko huun davaa ki tarah
chaahtaa us ko huun shifaa ki tarah
haqaarat ki nigaahon se na farsh-e-khaak ko dekho
amiron kaa faqiron kaa yahi aakhir ko bistar hai
band-e-qabaa pe haath hai sharmaae jaate hain
kamsin hain zikr-e-vasl se ghabraae jaate hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
vaqt ko bas guzaar lenaa hi
dosto koi zindagaani hai
chhin leti hai aadmi kaa vaqaar
muflisi bhi 'azaab hai yaaro
chhaani hai khaak ham ne bahut ku-e-yaar ki
'jaa’far' is 'aashiqi se kisi ko amaan nahin
ye shab-e-gham ye meri tanhaai
is rifaaqat kaa kaun saani hai
kaise aakaash mein suraakh nahin ho saktaa
ek patthar to tabiat se uchhaalo yaaro