Shayari
dil ki dahliz pe jab shaam kaa saaya utraa
ufuq-e-dard se siine mein ujaalaa utraa
yaad-e-yaaraan dil mein aai huuk ban kar rah gai
jaise ik zakhmi parinda jis ke par TuuTe hue
یاد یاراں دل میں آئی ہوک بن کر رہ گئی
جیسے اک زخمی پرندہ جس کے پر ٹوٹے ہوئے
याद-ए-याराँ दिल में आई हूक बन कर रह गई
जैसे इक ज़ख़्मी परिंदा जिस के पर टूटे हुए

dil ki dahliz pe jab shaam kaa saaya utraa
ufuq-e-dard se siine mein ujaalaa utraa
ashkon mein piro ke us ki yaadein
paani pe kitaab likh rahaa huun
sab ummidein mire aashob-e-tamannaa tak thiin
bastiyaan ho gaiin gharqaab to dariyaa utraa
kuchh na kuchh to hotaa hai ik tire na hone se
varna aisi baaton par kaun haath maltaa hai
shahr-e-naa-pursaan mein kuchh apnaa pata miltaa nahin
baam-o-dar raushan hain lekin raasta miltaa nahin
duniyaa kahaan thi paas-e-viraasat ke zimn mein
ik diin thaa so us pe luTaae hue to hain
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
ab is ke baad kuchh bhi nahin ikhtiyaar mein
vo jabr thaa ki khud ko khudaa kar chuke hain ham
aur kab tak zindagi ki naaz-bardaari karein
dosto aao chalo marne ki tayyaari karein
dil hi ayyaar hai be-vajh dhaDak uThtaa hai
varna afsurda havaaon mein bulaavaa kaisaa