Shayari
kam nahin ai dil-e-betaab mataa-e-ummid
dast-e-mai-khvaar mein khaali hi sahi jaam to hai
paanv se lag ke khaDi hai ye gharib-ul-vatani
us ko samjhaao ki ham apne vatan aae hain
پاؤں سے لگ کے کھڑی ہے یہ غریب الوطنی
اس کو سمجھاؤ کہ ہم اپنے وطن آئے ہیں
पाँव से लग के खड़ी है ये ग़रीब-उल-वतनी
उस को समझाओ कि हम अपने वतन आए हैं

kam nahin ai dil-e-betaab mataa-e-ummid
dast-e-mai-khvaar mein khaali hi sahi jaam to hai
kuchh usulon kaa nasha thaa kuchh muqaddas khvaab the
har zamaane mein shahaadat ke yahi asbaab the
gham se bikhraa na paaemaal huaa
main to gham se hi be-misaal huaa
jo bhi kahnaa hai kaho saaf shikaayat hi sahi
in ishaaraat-o-kinaayaat se ji Dartaa hai
gard-e-shohrat ko bhi daaman se lipaTne na diyaa
koi ehsaan zamaane kaa uThaayaa hi nahin
'iqbaal' ki navaa se musharraf hai go 'naim'
urdu ke sar pe 'mir' ki ghazlon kaa taaj hai
hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai
chaahne vaalo pyaar mein thoDi aazaadi bhi laazim hai
dekho meraa phuul ziyaada dekh-bhaal se TuuT gayaa
mahv-e-liqaa jo hain malakuti-khisaal hain
bedaar ho ke bhi nazar aate hain khvaab mein
membari se aap par to vaarnish ho jaaegi
qaum ki haalat mein kuchh is se jilaa ho yaa na ho
mat gor-e-gharibaan par ghoDe ko kudaao yuun
kyuun apne shahidon ke aasaar miTaate ho
ghair chehre ajnabi maahaul mubham se nuqush
main jahaan pahunchaa vahi meraa vatan saabit huaa