Shayari
kam nahin ai dil-e-betaab mataa-e-ummid
dast-e-mai-khvaar mein khaali hi sahi jaam to hai
gham se bikhraa na paaemaal huaa
main to gham se hi be-misaal huaa
غم سے بکھرا نہ پائمال ہوا
میں تو غم سے ہی بے مثال ہوا
ग़म से बिखरा न पाएमाल हुआ
मैं तो ग़म से ही बे-मिसाल हुआ

kam nahin ai dil-e-betaab mataa-e-ummid
dast-e-mai-khvaar mein khaali hi sahi jaam to hai
kuchh usulon kaa nasha thaa kuchh muqaddas khvaab the
har zamaane mein shahaadat ke yahi asbaab the
jo bhi kahnaa hai kaho saaf shikaayat hi sahi
in ishaaraat-o-kinaayaat se ji Dartaa hai
gard-e-shohrat ko bhi daaman se lipaTne na diyaa
koi ehsaan zamaane kaa uThaayaa hi nahin
saraa-e-dil mein jagah de to kaaT luun ik raat
nahin hai shart ki mujh ko sharik-e-khvaab banaa
'iqbaal' ki navaa se musharraf hai go 'naim'
urdu ke sar pe 'mir' ki ghazlon kaa taaj hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa
ye zindagi hai apni kabhi khush kabhi udaas
is kashmakash se mujh ko khudaayaa rihaai de