Shayari
gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
vafaa tujh se ai bevafaa chaahtaa huun
miri saadgi dekh kyaa chaahtaa huun
وفا تجھ سے اے بے وفا چاہتا ہوں
مری سادگی دیکھ کیا چاہتا ہوں
वफ़ा तुझ से ऐ बेवफ़ा चाहता हूँ
मिरी सादगी देख क्या चाहता हूँ

gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
raat din naama-o-paighaam kahaan tak doge
saaf kah dijiye milnaa hamein manzur nahin
'hasrat' bahut hai martaba-e-aashiqi buland
tujh ko to muft logon ne mashhur kar diyaa
taasir-e-barq-e-husn jo un ke sukhan mein thi
ik larzish-e-khafi mire saare badan mein thi
ham kyaa karein agar na tiri aarzu karein
duniyaa mein aur bhi koi tere sivaa hai kyaa
chhup nahin sakti chhupaane se mohabbat ki nazar
paD hi jaati hai rukh-e-yaar pe hasrat ki nazar
khulaa ye aadam-o-iblis ke fasaane se
ki ye jahaan banaa hai fareb khaane se
jab itni bevafaai par dil us ko pyaar kartaa hai
to yaa-rab vo sitam-gar baa-vafaa hotaa to kyaa hotaa
bachche fareb khaa ke chataai pe so gae
ik maan ubaalti rahi pathar tamaam raat
DhunDhtaa phirtaa hai mujh ko kyuun fareb-e-rang-o-bu
main vahaan huun khud jahaan apnaa pata miltaa nahin
kahnaa hi miraa kyaa hai ki main kuchh nahin kahtaa
ye bhi tumhein dhokaa hai ki main kuchh nahin kahtaa
dil-o-nazar ko abhi tak vo de rahe hain fareb
tasavvuraat-e-kuhan ke qadim but-khaane