Shayari
dil mein sajde kiyaa karo 'mufti'
is mein parvardigaar rahtaa hai
jin pe naazaan the ye zamin o falak
ab kahaan hain vo suratein baaqi
جن پہ نازاں تھے یہ زمین و فلک
اب کہاں ہیں وہ صورتیں باقی
जिन पे नाज़ाँ थे ये ज़मीन ओ फ़लक
अब कहाँ हैं वो सूरतें बाक़ी

dil mein sajde kiyaa karo 'mufti'
is mein parvardigaar rahtaa hai
yuun to patthar bahut se dekhe hain
koi tum saa nazar nahin aayaa
ab to kar Daaliye vafaa us ko
vo jo vaada udhaar rahtaa hai
kaisaa jaadu hai samajh aataa nahin
niind meri khvaab saare aap ke
ik zaraa si baat pe ye munh banaanaa ruThnaa
is tarah to koi apnon se khafaa hotaa nahin
tere khvaabon ki lat lagi jab se
raat kaa intizaar rahtaa hai
har samt falak-bos pahaaDon ki qataarein
'khusrav' hai na 'shirin' hai na tesha hai na farhaad
miri uDaan agar mujh ko niche aane de
to aasmaan ki gahraai mein utar jaaun
koi zamin hai to koi aasmaan hai
har shakhs apni zaat mein ik daastaan hai
nazar mili to nazaaron mein baanT di main ne
ye raushni bhi sitaaron mein baanT di main ne
ye aarzu ke sitaare ye intizaar ke phuul
chamak rahi hain khataaein mahak rahe hain gunaah
us ki palkon pe jo chamkaa thaa sitaara koi
dekhte dekhte mahtaab huaa jaataa hai