Shayari
aankhon mein khvaab chubhan sone nahin deti hai
ek muddat se hamein tu ne jagaa rakkhaa hai
ham yunhi khvaab bunte rahte hain
khel saaraa qazaa kaa hotaa hai
ہم یونہی خواب بنتے رہتے ہیں
کھیل سارا قضا کا ہوتا ہے
हम यूँही ख़्वाब बुनते रहते हैं
खेल सारा क़ज़ा का होता है

mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
yaad mein khvaab mein tasavvur mein
aa ki aane ke hain hazaar tariq
ummidon se parda rakkhaa khushiyon se mahrum rahin
khvaab maraa to chaalis din tak sog manaayaa aankhon ne