Shayari
tire rang-o-bu ko bhi dekhte na khayaal thaa na majaal thi
jo sakat mili tujhe dekhne ki to rang-o-bu se nikal gae
tiri taarif karne lag gayaa huun
mohabbat ne diyaanat chhin li hai
تری تعریف کرنے لگ گیا ہوں
محبت نے دیانت چھین لی ہے
तिरी तारीफ़ करने लग गया हूँ
मोहब्बत ने दियानत छीन ली है

tire rang-o-bu ko bhi dekhte na khayaal thaa na majaal thi
jo sakat mili tujhe dekhne ki to rang-o-bu se nikal gae
main ne jitne bhi log dekhe hain
sab ke sinon mein rog dekhe hain
khinch laati hai samundar se jazire sar-e-aab
jab miri aankh ko manzar ki tamanna ho jaae
itne zaalim na bano kuchh to muravvat sikho
tum pe marte hain to kyaa maar hi Daaloge hamein
main to itnaa bhi samajhne se rahaa hon qaasir
raah takne ke sivaa aankh kaa maqsad kyaa hai
tum ne taaron ko rahnumaa jaanaa
ham ne taaron ki rahnumaai ki
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dekh ye jazb-e-mohabbat kaa karishma to nahin
kal jo tere dil mein thaa vo aaj mere dil mein hai
ik adaavat se faraaghat nahin milti varna
kaun kahtaa hai mohabbat nahin kar sakte ham
ai shauq pataa kuchh tu hi bataa ab tak ye karishma kuchh na khulaa
ham mein hai dil-e-betaab nihaan yaa aap dil-e-betaab hain ham
tere bimaar-e-mohabbat ki ye haalat pahunchi
ki haTaayaa gayaa takiya bhi sirhaane vaalaa