Shayari
ham ne us chehre ko baandhaa nahin mahtaab-misaal
ham ne mahtaab ko us rukh ke mumaasil baandhaa
kisi sabab se agar boltaa nahin huun main
to yuun nahin ki tujhe sochtaa nahin huun main
کسی سبب سے اگر بولتا نہیں ہوں میں
تو یوں نہیں کہ تجھے سوچتا نہیں ہوں میں
किसी सबब से अगर बोलता नहीं हूँ मैं
तो यूँ नहीं कि तुझे सोचता नहीं हूँ मैं

ham ne us chehre ko baandhaa nahin mahtaab-misaal
ham ne mahtaab ko us rukh ke mumaasil baandhaa
gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan
jaan kar koi giraftaar nahin hotaa yaar
mohabbat aur ibaadat mein farq to hai naan
so chhin li hai tiri dosti mohabbat ne
khudaa! sila de duaa kaa, mohabbaton ke khudaa
khudaa! kisi ne kisi ke liye duaa ki thi
main tum ko khud se judaa kar ke kis tarah dekhun
ki main bhi ''tum'' huun, koi dusraa nahin huun main
tu mujh se mere zamaanon kaa puchhti hai to sun!
tiraa junun, tiraa saudaa, tiri talab, tiri yaad
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
maango samundaron se na saahil ki bhiik tum
haan fikr o fan ke vaaste gahraai maang lo
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
jhilmilaate hue ashkon ki laDi TuuT gai
jagmagaati hui barsaat ne dam toD diyaa
kaunain-e-ain-e-ilm mein hai jalva-gaah-e-husn
jeb-e-khirad se ainak-e-irfaan nikaaliye