Shayari
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
khudaa jaane 'asar' ko kyaa huaa hai
rahaa kartaa hai chup do do pahar tak
خدا جانے اثرؔ کو کیا ہوا ہے
رہا کرتا ہے چپ دو دو پہر تک
ख़ुदा जाने 'असर' को क्या हुआ है
रहा करता है चुप दो दो पहर तक

afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
kaisaa aanaa kaisaa jaanaa mere ghar kyaa aaoge
ghairon ke ghar jaane se tum fursat kis din paate ho
kartaa hai ai 'asar' dil-e-khun-gashta kaa gila
aashiq vo kyaa ki khasta-e-tegh-e-jafaa na ho
saath duniyaa kaa nahin taalib-e-duniyaa dete
apne kutton ko ye murdaar liye phirti hai
aaina dekh ke farmaate hain
kis ghazab ki hai javaani meri
gulshan mein kaun bulbul-e-naalaan ko de panaah
gulchin o baaghbaan bhi hain sayyaad ki taraf
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
umr bhar dukh sahte sahte aakhir itnaa to huaa
apni chup ko dekh letaa huun sadaa bante hue
apni mahfil se abas ham ko uThaate hain huzur
chupke baiThe hain alag aap kaa kyaa lete hain
duaaein yaad karaa di gai thiin bachpan mein
so zakhm khaate rahe aur duaa diye gae ham
khamoshi se musibat aur bhi sangin hoti hai
taDap ai dil taDapne se zaraa taskin hoti hai
main hairat o hasrat kaa maaraa khaamosh khaDaa huun saahil par
dariyaa-e-mohabbat kahtaa hai aa kuchh bhi nahin paayaab hain ham