Shayari
hamaare khuun se luThDe hue hain haath us ke
hamaare saath mohabbat bhi hai zamaane ko
is liye sab se alag hai miri khushbu 'aami'
mushk-e-mazdur pasine mein liye phirtaa huun
اس لیے سب سے الگ ہے مری خوشبو عامیؔ
مشک مزدور پسینے میں لیے پھرتا ہوں
इस लिए सब से अलग है मिरी ख़ुशबू 'आमी'
मुश्क-ए-मज़दूर पसीने में लिए फिरता हूँ

hamaare khuun se luThDe hue hain haath us ke
hamaare saath mohabbat bhi hai zamaane ko
hamaare khvaab salaamat rahein tumhaare saath
ye baat kaafi hai duniyaa ki niind uDaane ko
ham-saae mein shaitaan bhi rahtaa hai khudaa bhi
jannat bhi mayassar hai jahannam ki havaa bhi
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
ye raat aisi havaaein kahaan se laati hai
ki khvaab phulte hain aur zakhm phalte hain
tamaam din ki mashaqqat-bhari takaan ke baad
tamaam raat mohabbat se phir jagaaun use
doston ke saath din mein baiTh kar hanstaa rahaa
apne kamre mein vo jaa kar khuub royaa raat bhar