Shayari
kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
kisi laashe pe ye baad-e-sabaa kahti hui guzri
shahid-e-ishq hai is ke lahu ko taaza kahte hain
کسی لاشے پہ یہ باد صبا کہتی ہوئی گزری
شہید عشق ہے اس کے لہو کو تازہ کہتے ہیں
किसी लाशे पे ये बाद-ए-सबा कहती हुई गुज़री
शहीद-ए-इश्क़ है इस के लहू को ताज़ा कहते हैं

kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
kabhi ye gham thaa ki samjhaa nahin koi ham ko
aur ab ye Dar ki kisi ne samajh liyaa hi na ho
judaai se ziyaada jaan-levaa
mohabbat mein mohabbat ki kami hai
husn aisaa thaa ki har ik aainaa kam paD gayaa
aaina kyaa umr bhar kaa dekhnaa kam paD gayaa
ye jahaan ek tamaashaa hai sabhi kahte hain
tum na hote to ise ham bhi tamaashaa kahte
dard thaa haijaan thaa par aankh mein aansu na the
jaise dil tak aate aate haadisa kam paD gayaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mujhe maalum hai ahl-e-vafaa par kyaa guzarti hai
samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar rahaa huun main
aansu miri aankhon se nikal jaate hain aksar
vo daur-e-mohabbat kabhi bhulaa to nahin huun
uDaa hai rafta rafta rang tasvir-e-mohabbat kaa
hui hai rasm-e-ulfat be-viqaar aahista aahista