Shayari
duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
na intizaar karo in kaa ai azaa-daaro
shahid jaate hain jannat ko ghar nahin aate
نہ انتظار کرو ان کا اے عزا دارو
شہید جاتے ہیں جنت کو گھر نہیں آتے
न इंतिज़ार करो इन का ऐ अज़ा-दारो
शहीद जाते हैं जन्नत को घर नहीं आते

duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
us se bichhaD ke ek usi kaa haal nahin main jaan sakaa
vaise khabar to har pal mujh tak duniyaa bhar ki aati rahi
ham itnaa chaahte the ek dusre ko 'zafar'
main us ki aur vo meri misaal ho ke rahaa
apni yaadein us se vaapas maang kar
main ne apne-aap ko yakjaa kiyaa
main aise jamghaTe mein kho gayaa huun
jahaan mere sivaa koi nahin hai
har shakhs bichhaD chukaa hai mujh se
kyaa jaaniye kis ko DhunDhtaa huun
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
kabhi dar par kabhi hai raste mein
nahin thakti hai intizaar se aankh
vo the javaab ke saahil pe muntazir lekin
samay ki naav mein meraa savaal Duub gayaa
itnaa to samajhte the ham bhi us ki majburi
intizaar thaa lekin dar khulaa nahin rakkhaa
ai gardisho tumhein zaraa taakhir ho gai
ab meraa intizaar karo main nashe mein huun