Shayari
taDpeinge tiri yaad mein ghabraaeinge tanhaa
ai dost kisi taur na ji paaeinge tanhaa
haalaat kah rahe hain ki ab vo na aaeinge
ummid kah rahi hai zaraa intizaar kar
حالات کہہ رہے ہیں کہ اب وہ نہ آئیں گے
امید کہہ رہی ہے ذرا انتظار کر
हालात कह रहे हैं कि अब वो न आएँगे
उम्मीद कह रही है ज़रा इंतिज़ार कर

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
khulaa hai dar pa tiraa intizaar jaataa rahaa
khulus to hai magar e'tibaar jaataa rahaa
koi ishaara dilaasaa na koi vaada magar
jab aai shaam tiraa intizaar karne lage
laakh aaftaab paas se ho kar guzar gae
ham baiThe intizaar-e-sahar dekhte rahe