Shayari
haalaat kah rahe hain ki ab vo na aaeinge
ummid kah rahi hai zaraa intizaar kar
taDpeinge tiri yaad mein ghabraaeinge tanhaa
ai dost kisi taur na ji paaeinge tanhaa
تڑپیں گے تری یاد میں گھبرائیں گے تنہا
اے دوست کسی طور نہ جی پائیں گے تنہا
तड़पेंगे तिरी याद में घबराएँगे तन्हा
ऐ दोस्त किसी तौर न जी पाएँगे तन्हा

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
didani hai ab shikast-e-zabt ki be-chaargi
muskuraataa huun magar dil dard se labrez hai
aankh mein aansu kaa aur dil mein lahu kaa kaal hai
hai tamannaa kaa vahi jo zindagi kaa haal hai
dusron kaa dard 'akhtar' mere dil kaa dard hai
mubtalaa-e-gham hai duniyaa aur main gham-khvaar huun