Shayari
main dil mein un ki yaad ke tufaan ko paal kar
laayaa huun ek mauj-e-taghazzul nikaal kar
tiri duuri kaa mujh ko gham nahin hai
ki furqat mein bhi lazzat kam nahin hai
تری دوری کا مجھ کو غم نہیں ہے
کہ فرقت میں بھی لذت کم نہیں ہے
तिरी दूरी का मुझ को ग़म नहीं है
कि फ़ुर्क़त में भी लज़्ज़त कम नहीं है

main dil mein un ki yaad ke tufaan ko paal kar
laayaa huun ek mauj-e-taghazzul nikaal kar
DhunDhne par bhi na miltaa thaa mujhe apnaa vajud
main talaash-e-dost mein yuun be-nishaan thaa dosto
allaah re be-khudi ki tire ghar ke aas-paas
har dar pe di sadaa tire dar ke khayaal mein
ibtidaa ye thi ki main thaa aur daavaa ilm kaa
intihaa ye hai ki is daave pe sharmaayaa bahut
sukun-e-dil jahaan-e-besh-o-kam mein DhunDne vaale
yahaan har chiiz milti hai sukun-e-dil nahin miltaa
niind kyaa hai zaraa si der ki maut
maut kyaa kyaa hai tamaam umr ki niind
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
musaafir hi musaafir har taraf hain
magar har shakhs tanhaa jaa rahaa hai
pukaaraa qaasid-e-ashk aaj fauj-e-gham ke haathon se
huaa taaraaj pahle shahr-e-jaan dil kaa nagar pichhe
guzar to jaaegi tere baghair bhi lekin
bahut udaas bahut be-qaraar guzregi