Shayari
bichhDe mujh se is tarah vo zindagi ke ham-safar
bujh gae hon jalte jalte jaise raste ke charaagh
tire hi pyaar ne kyaa dil ko vusatein bakhshin
ki gham mein ghair ke dil be-qaraar hotaa hai
ترے ہی پیار نے کیا دل کو وسعتیں بخشیں
کہ غم میں غیر کے دل بے قرار ہوتا ہے
तिरे ही प्यार ने क्या दिल को वुसअ'तें बख़्शीं
कि ग़म में ग़ैर के दिल बे-क़रार होता है

bichhDe mujh se is tarah vo zindagi ke ham-safar
bujh gae hon jalte jalte jaise raste ke charaagh
'habib' khud hi banaaeinge roz-o-shab apne
huaa hi kyaa jo zamaane ne saath chhoD diyaa
har ik fasurda qalb pe chhaai shaguftagi
jab chhiD gai hai bazm mein us gul-badan ki baat
baDhti gaiin jafaaein jahaan raah-e-shauq mein
josh-e-junun baDhaataa gayaa tez-tar mujhe
paa ke ik teraa tabassum muskuraai kaaenaat
jhuum uTThaa vo bhi dil jiine se jo bezaar thaa
nikhat vahi surur vahi dil-kashi vahi
aamad ye aap ki hai ki jhonkaa bahaar kaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
lams-e-sadaa-e-saaz ne zakhm nihaal kar diye
ye to vahi hunar hai jo dast-e-tabib-e-jaan mein thaa
bas us ki pahchaan yahi hai
aankh mein aansu bharne vaalaa
mujh ko thi mahfilon ki bahut aarzu magar
tanhaaiyon ke khauf se tanhaa rahaa huun main